-
aaj kuch aisi nazm kaho
ki tumhare maathe ki silvatein sanvar jayein
chandni tumhare sholagar badan se lipat jaye
khamoshi ho, par taaron ki, aur andhera aundha leta ho
aur tum uski peeth pe charh ke, apne nange paaon se
uske toote hue badan ki tamtamahat door kar do.
aaj kuch aisi nazm kaho
jo sirf tumhari aankhon se zahir ho
jo apne pairaahan samet-ti, kisi nayi byaahi dulhan ki tarah
tumhare palang pe aa baithe, aur tum, bas use yun hi nihaarte raho
aur yahi tumhari raat ban jaye.
aaj kuch aisi nazm kaho
ki vehshat apne nakhoon kho de
tumhari ungliyon mein jo ehsaas daudta ho vo sirf tumhein pooje
aur tum isi ki jyoti ke tale apna naya savera dhoond lo.
-